Whatsapp me Stylish Keyboard Theme kaise change karein Trick

Hello Doston, aazadhindi.com me aapka swagat hai. Aaj ke is article me main aapko "WhatsApp keyboard theme change" karne ke baare me bataunga. Ummeed hai ki ye jankaari aapko pasand aayegi.


How to change keyboard stylish theme for Whatsapp



Doston, hum sabhi log chat karne ke liye WhatsApp ka istemaal karte hain. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki kuch logon ke WhatsApp keyboard stylish kyon lagte hain? Iska jawab hai 'kyonki wo 3rd party keyboard ka use karte hain'.


Aaj main aapko WhatsApp keyboard theme change kaise karein, aur WhatsApp keyboard theme apk download karne se lekar iske stylish setting karne ka poora tarika step by step bataunga. To chaliye ab aage badhte hain.


Read Also: WhatsApp पर Schedule Message कैसे Send करें in Hindi


Whatsapp Keyboard theme change in Android 

Dost jab aap Google Playstore ya App store se Original WhatsApp download karte hain to usme by default aap ke mobile phone ka keyboard dikhai deta hai. Aap Jo keyboard daily use karte hain, wahi keyboard aapke WhatsApp chat me bhi dikhai deta hai. To agar, aap WhatsApp keyboard theme ko change karna chahte hain to iske liye aapke paas do option hain :

  1. Ya to aap koi 3rd party keyboard apk download kar Lijiye

  2. Ya fir, aap apne keyboard me hi koi naya theme install kar Lijiye.



WhatsApp keyboard apk Download free for Android

Agar aap android phone use karte hain to aap playstore se niche diye gaye list me se koi bhi 1 app download kar sakte hain. Ye best keyboard theme applications hain 2023 ke liye, aur playstore me free available hai —





Best Keyboard ⌨ Theme Apk for Android Free
Sn. Keyboard Ratings Downloads
1. 2024 Keyboard 4.5 4,00,000
2. Cute Keyboard 4.3 27,000
3. Minny Bowknot Theme 4.5 69,000
4. Keyboard Latest and Stylish 4.3 6,000
5. QWERTY Keyboard 3.6 768
6. Smart Keyboard 3.9 2,000
7. Black and yellow keyboard 4.2 1,000
8. Art Keyboard 4.2 31,000
9. Blue AI Keyboard 4.4 3,000
10. Keyboard Pro 2023 4.4 11,000
11. Design Keyboard - Fonts, Emoji 4.5 1,00,000
12. Cool Black Red Keyboard Theme 4.7 1,000
13. Neon Love Theme 4.5 1,00,000
14. Fonts Keyboard 4.5 12,00,000
15. Galaxy 3D Keyboard Theme 4.6 4,000
16. Simple Keyboard 4.6 9,000
17. True Love Keyboard + Wallpaper 4.4 10,000
18. Keyboard Red 4.2 59,000

j

WhatsApp keyboard theme change kaise karein

  1. Sabse pahle aapne jis apk ko download kiya hai, use install kar Lijiye.
  2. Agar aap play store se download karenge to apk apne aap install ho jayega.
  3. Iske baad us apk ko 'open' karna hai.
  4. Wahan aap ko bahut saare themes mil jayenge. Aap searchbox me theme search bhi kar sakte hain.
  5. Ab aap apni pasand ka koi bhi theme select karke usko download kar Lijiye.


Whatsapp me custom Keyboard theme set karne ka tarika

  1. Upar ke steps ko follow karne ke baad ab aapko Apna WhatsApp open karna hai.
  2. Iske baad aapko kisi bhi chat ko open karna hai.
  3. Jab aapka keyboard khulega to aapko neeche right corner me ek option dikhai dega. Usme click kar dijiye. [IMG] 👇
  4. Whatsapp keyboard theme change
  5. Iske baad aapke saamne ek popup khulega, jisme aapko "choose keyboard" ka option milega. Usme click kar dijiye.
  6. whatsapp keyboard stylish themes change in android
  7. Iske baad aapne jis apk ko playstore/chrome se download kiya tha. Uske saamne tick box ko enable (on) kar dijiye. Aur baaki option ko disable (off) kar dijiye.
  8. whatsapp keyboard stylish themes change in android
  9. Ab aapka android phone keyboard change ho chuka hai.


Doston, agar iske baad bhi aapka keyboard change nhi hota hai, to in 3 steps ko follow karein, 100% guarantee hai ki keyboard theme change ho jayega.

  1. Dubara se Apna WhatsApp open karein, aur kisi chat ko open kijiye.
  2. Iske baad apne keyboard me settings "⚙️" ka ek option milega uspe click kar dijiye. (Image 👇)  
  3. whatsapp keyboard theme kaise change karein
  4. Ab wahan ke option me se apne favorite theme ko select karke save kar dijiye.
  5. whatsapp keyboard theme kaise change karein in samsung
  6. Bas! Ab aapka brand new stylish whatsapp keyboard theme set ho chuka hai ! [Done 👍]



WhatsApp chat background image/colour kaise change karein

Doston, aap me se bahut se log WhatsApp chat ka background colour change karna chahte hain. To iske liye aapko bs ye aasan se steps ko follow karna hai :

  1. Sabse pahle Apna WhatsApp open karein aur jis chat ka theme background change karna hai, use open karein.
  2. Uske baad upar right corner pe 3 dots par click karein.
  3. whatsapp chat background kaise badle in android
  4. Ab "Wallpaper" par click karein.
  5. whatsapp chat me apna photo kaise lagaye
  6. Iske baad aapko bahut saare background options mil jayenge. Aapko kisi ek ko select karke set par click kar dena hai.
  7. custom image set in whatsapp chat walpaper
  8. Agar aap apni gallery se koi image lagana chahte hain to, "My Photos" wale option par click karein, aur image select karne ke baad "Set Wallpaper" par click kar dein.
  9. whatsapp chat me apni image kaise lagaye in androidin hindi
  10. Ab 2 option milenge, Pahle wale option me, aapka bs 1 hi chat ka theme background change hoga, aur dusre wale option me sabhi chat ka background change ho jayega. Aapko apne hisaab se select kar Lena hai.
  11. whatsapp chat me apni image kaise lagaye in android in hindi
  12. WhatsApp Chat Background image/colour Changed Successfully ! 😊 🎉


Android me keyboard theme ko wapas normal kaise karte hain

Agar aap apne keyboard ko wapas se normal karna chahte hain to aapko ye steps follow karna hai.

  1. Apne WhatsApp open kijiye aur kisi bhi chat ko open kar dijiye.
  2. Ab apne keyboard me neeche ki taraf option milega, usme click kijiye.
  3. Ab apne mobile ke default keyboard ko select kar dijiye.
  4. Ho gya aapka problem fix ! 💯



Best keyboard theme for WhatsApp for android

Waise to aapko bahut saare keyboard apk internet me free me mil jayenge, lekin main aapko kuch apps ki list upar de chuka hoon, 

Aap isme se kisi ek ko download kar sakte hain.



Best keyboard apk for WhatsApp chat theme 

Doston, ye mere dwara recommended apk hai, agar aap Apna WhatsApp keyboard theme change karna chahte ho to.

Neeche iska link diya hua hai, aap uspe click karke ise easily "Download" kar sakte ho.


Download : Best keyboard apk for WhatsApp Download


Aakhiri Baat

Doston, mujhe ummeed hai ki is article ko padhne ke baad aap apne WhatsApp keyboard theme change karna seekh gye honge. Saath hi saath aap apne WhatsApp chat ka background image/colour change karna bhi seekh gye honge. Agar aapko ye article pasand aaya to ise share jaroor karein. www.aazadhindi.com me aane ke liye aapka Dhanyawaad !!

Muhammad Saif

This Article has been written by Muhammad Saif. 🙂

कृप्या स्पैम ना करें। आपके कमेंट्स हमारे द्वारा Review किए जाएंगे । धन्यवाद !

एक टिप्पणी भेजें (0)
और नया पुराने